Hum se mat poch rastay gher ke
Jumat, 30 Agustus 2013
0
komentar
Hum se mat poch rastay gher ke
hum musafer hain zindage bher ke
kaun suraaj ke aankh se din bher
zakham ginta hai shab ki chader ke
sulah ker le yeh soch ker main ne
mere dushman na the baraber ke
kudh se khemay jala diye main ne
hoslay diekhna the lashker ke
yeh sitaray yeh tottay motti!
aks hain maray dida-e-ay ter ke
ger janoo muslehat na aapnaye
saray rishtay bohat hain phater ke
hum bhi chuntay the seepiyan akser
hum bhi maqrooz hain samander ke
aankh ke gird matami halqay
saye jessay jalay huwe gher ke
dostoon ki zuban tu khulnay do
bhool jaoo ge zakham khanjer ke
chand bhi zerd per gaya aakher
ujray aangan main roshni ker ke
aankh nam bhi karo to bas itni
rang pheekay parain na manzer ke.
Mohsin Naqvi
TERIMA KASIH ATAS KUNJUNGAN SAUDARA
Judul: Hum se mat poch rastay gher ke
Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
Semoga artikel ini bermanfaat bagi saudara. Jika ingin mengutip, baik itu sebagian atau keseluruhan dari isi artikel ini harap menyertakan link dofollow ke https://hotwomandress.blogspot.com/2013/08/hum-se-mat-poch-rastay-gher-ke.html. Terima kasih sudah singgah membaca artikel ini.Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
0 komentar:
Posting Komentar