Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo Koi Sitara Sambhaal Rakhna
Jumat, 30 Agustus 2013
0
komentar
Mere Andhero’n Ki Fikar Choro Bas Apne Ghar Ka Khayal Rakhna Ujaar Mosam Mein Rait Dharti Pe Fasal Boi Thi Chaandni Ki
Ab Is Mein Ugnay Lagay Andhere To Kaisa Jee Mein Malaal Rakhna Diyaar-e-Ulfat Mein Ajnabi Ko Safar hai Darpesh Zulmato’n ka
Kahi’n Woh Raahon Mein Kho Na Jaaye Zara Darechay Ujaal Rakhna Wo Rasm-o-Raah He Nahi’n Rahe Jab To Naamay Kis Kaam Ke Tumhare
Udhar Se Guzraa Kabhi To LooN Ga Mere Khato’N Ko Nikaal Rakhna Bicharne Wale Ne Waqt-e-Rukhsat Kuch Is Nazar Se Palat Ke Dekha
Keh Jaise Woh Bhi Yeh Keh Raha Ho Tum Apne Ghar Ka Khayal Rakhna Yeh Dhoop Chaao’n Ka Khel Hai Ya Khizaa’n Bahaaro’n Ki Ghaat Mein Hai
Naseeb-e-Subh Ujrooj Ho To Nazar Mein Shaam-e-Zawaal Rakhna Kisay Khabar Thi Keh Kab Ye Mosam Uraa Ke Rakh De Ga Khaak "Aazar"
Tum Ehtiyatan Zamee’n Ke Sar Pe Falak Ki Chaadar Bhi Daal Rakhna Aezaaz Ahmed Aazar
TERIMA KASIH ATAS KUNJUNGAN SAUDARA
Judul: Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo Koi Sitara Sambhaal Rakhna
Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
Semoga artikel ini bermanfaat bagi saudara. Jika ingin mengutip, baik itu sebagian atau keseluruhan dari isi artikel ini harap menyertakan link dofollow ke https://hotwomandress.blogspot.com/2013/08/tum-aisa-karna-keh-koi-jugnoo-koi.html. Terima kasih sudah singgah membaca artikel ini.Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
0 komentar:
Posting Komentar