Ajab pagal si larki hai
Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe me yaad ati hoon?
Meri baaten satati hain?
Meri neenden jagati hain?
Meri aankhen rulati hain?
Falak k sab sitaroon ko meri baaten sunate ho?
Kitabbon se tumhare ishq me koi kami ayi?
Ya meri yaad ki shiddat se ankhon mai nami ayi?
Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai
Jawab youn uss par likhta hoon
Meri masrofiyat dekho
Subha se shaam Office mai chiragh-e-umr jalta hai
Phir uss k baad duniya ki kai majbooriyan paoun me beriyan daal deti hain
Mujhe chahat se bhare sapne nahi dikh’te
Tehalne jaagne ronay ki mohlat hi nahi milti
Sitaroon se mily arsa hua
kitaboon se shagaf mera abhi wesa hi qaaim hai
Farq itna para hai ab unhain arse me parhta hoon
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
K me khud ko bholne ki musal’sal justaju me hoon
Tumhein na yaad aane ki musal’sal justaju me hoon
Magar ye justaju meri bahut nakaam rehti hai
Mere din raat me ab bhi tumhari shaam behti hai
Mere lafzoon ki har maala tumhare naam rehti hai
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
Unhain ham yaad karte hain jinhe ham bhool jate hain
Ajab pagal si larki ho
Tags: Ajab pagal si larki hai, Ajab pagal si larki hai poetry, Mujhe tum yaad karte ho
Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
0 komentar:
Posting Komentar