Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki
Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki
Mere Dard Mere Malaal Ki
Yeh Mere Khayal Ka Silsila
Kisi Yaad Se Hai Milaa Hua
Usse Dekhna Usse Sochna
Meri Zindgi Ka Hai Faisla
Yeh Usi Ki Palkon Ke Saaye Hein
Meri Rooh Mein jo Utar Gaye
Yeh janoon-e- manzil-e- ishq hai
Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye
Mujhay is Muqaam Pay Chorna
Hai yeh Bewafi Ki inteha
Yeh Kafs ho jaisay Khuli Fiza
Yehi Sukh ka sans mein loon sada
Jinhain teri deed ki piyas thi
wo katoray nainoon say bhar gaye
Yeh janoon-e– manzil-ee ishq hai
jo? chlay to jaan say guzar gayee
Jo meray naseeb k harf thay
wo meray liay na likhay gaey
tera humsafar yeh dua karay
hai jahan bhi khush tu wahan rahay
tera sath chalna muhaal tha
jo rukay to saans thehar gaey
yeh janoon-e-manzil-e-ishq hai
jo chalay to jaan sy guzar gaey…!!!
Ditulis oleh Unknown
Rating Blog 5 dari 5
0 komentar:
Posting Komentar